Tuesday, July 28, 2009

shayari's

1 comments
Najre na hoti... najaare na hote...
chand ke daaman me Yu sitaare nahi hote...
ham isliye karate hai aapki Parvaah kyonki,
dil ke kareeb saare nahi hote...
Hatho se gir gayi lakeere kahi,
Bhool aaye ham apni takdeer kahi,
Agar tumko mile kahi to utha lena,
Mere hisse ki har khushi apne haatho me saja lena...
Ye sach hai dosto kisi se pyaar na karana,
Kabhi kisi ka is jamaane me aitbaar na karana.
Thhaam ke khanjar apane hi haatho me,
Bedardi se apne dil par vaar na karana.
Dil ka zakhm jubaan par laya nahi karate,
Ham apani aakhon se aansu bahaya nahi karate,
Zakhm kitane hi gahare kyon na ho,
Ham apane hotho se muskuraahat hataya nahi karate.
Tera Shukriya kuchh is tarah se adaa karun,
Tu kare bewafai main sada wafa karun,
Meri mohabbat NE bas itna shikhaya mujhe,
Khud mit jaaooo par tere liya duaa karun...

Har kadam pe dhoke milte rahege,
Par fiza me phool phir bhi khilte rahege,
Yeh haqeeqat hai log aksar badal jate hai,
Par phir bhi anjaano se dil milte rehte hai..!!
Labo se kuch keh nahi paate,
Aakhen bhi khaamosh hai,
Dil ka kya haal bayaan karu,
Bas aap hi ki baato me madhosh hai.
Khwaab tumhara aata hai to muskura lete hai,
Dard aakhon me utar aata hai to ro lete hai,
Yaado me tumhaari neend to aati nahi,
Khwaabo me tum aaoge ye sochakar so lete hai.
Dard hota nahi duniya ko dikhane ke liye,
Har koi rota nahi aansoo bahane ke liye,
Roothne ka maza to tab aata hai,
Jab koi apna ho manaane ke liye...
Har koi pyar liye tadapta hey,
Har koi pyar k liye rota hey,
Aey dost ye dosti sada kaayam rakhna,
Kyunki sabse zyada pyar is dosti me hi hota hey.
 
footer